Monday, February 3, 2014

ताजमहल

Visit to TAJ-hazaron desi-videsi logon ke saath hum bhi Taj darshan ke liye ek lambi si que ko par karke pahunche,,achha laga aaj Taj dekhna magar kuch missing tha shayad yesa laga mujhe,haan mere saathi log (Jitendra ji and Avinash) khush the..socha unhi ki khushi ke kahtir fir se ek lambi line me lag gaye the..TAJ ko dekhne me,,ek ke pichhe ek ho liye.jese kisi Rashan shop me chinni lene ja rahe ho ya bahut bade mandir me darshan ki formality karne ke liye khade ho..kuch dhakke khaye kabhi left me kabhi right me,aur security ke aawazen aage badho.chalte raho...hum bhi chalte gaye,,andar sukun hi nahi tha...sab log alag alag andaz me photo le rahe the,vahan bhi ek ajeeb hod lagi thi TAJ ko camera me qaid karne ki,,yesa lag raha tha jese log aaj TAJ ko ghar le jayenge..hazaron ki bheed,,aur me Tanha sa,,mene bhi photo liye..par un jagah ke jahan bheed nahi thi..
Achanak meri nazar ek Gilhari pe gayi--arey kitni masti ke saath fudak rahi thi,in pyare phoolon ke asspass.us taraf ek safed panchhi bhi tha(white bagula) wo bhi to badi style me idher udhar ghum raha tha..masti me..use kya lena dena tha logon se aur Tajmahal se use to masti karni thi..me bhi kuch pal unke saath raha..sach me unki masti TAJ se jyada thi...Do boond muskan jo de gayi thi mujhe..........

Wednesday, January 29, 2014

Field visit to sagar





Field visit ke samay jab hum photos le rahe the ek bank kiosk center par, vahi ek 8 saal ki bachhi hume dekh rahi thi uske papa ke saath.wo daudi daudi gayi aur ek bada sa camera leke aayi.ab hum sab log use dekh rahe the aur muskura rahe the wu kitne perfection ke saath click kar rahi thi......uske papa bade garv se uski tarifen kar rahe the,,unki do boond muskan.......hamari muskan ka saath de rahi thi......

Monday, January 27, 2014

उदयपुर





 Lake Pichhola -Udaipur 
जब हवा चलती हे तब  पानी में लहरें होती हे, मेरे मन को और दे जाती हे दो बूँद मुस्कान।।।।।।।।।।।।।।।  

Sunday, January 26, 2014

मन की बात

सभी पाठकगण को मेरा नमस्कार

दो दिन पहले एक प्यारि सी बहुत से  रंग अपने परों पे लेकर उड़ती  हुई तितली,  मेरे समीप से गुजरी,उसकी इस अदा ने मुझे उसे देखने और उसको निहारने का निमंत्रण जो दे दिया था ,फिर क्या,,, वो फूलों पे उठतीं  बैठतीं रही ,न जाने कितने रंग  समेटती रही.…।और मुझे मुस्कान देती रहीं ,,,,,,यही  तो हे दो बूँद मुस्कान   

26 जनवरी